Sochta hu poochunga khuda se
Tu kaun hai, dikhta kaisa hai
Kya tu bhi kuch kuch
Hum insaanon sa hi hota hai
Sochta hu poochunga khuda se
Kya tu bhi kabhi muskurata hai
Khush hota hai jab tu bohot
Kya tu bhi koi geet gungunata hai
Kya tujhe bhi aas hai kisise milne ki
Par tu bhi zamane se darta hai
Kya tu bhi hum insaanon ki tarah
Chup chupkar kisi pe marta hai
Kya tera bhi koi aafsana hai
Koi chehra jiska tu deewana hai
Khoobsurti ka koi aisa manzaar
Jisse yeh insaan abtak anjaana hai
Dil toota hai kya tera bhi kabhi
Kya tu bhi kabhi roya hai
Na soojha jab koi raasta tujhe
Nam si aakhon se kya tu bhi kabhi soya hai
Kya maut ka khauf nahi hai tujhe
Ya tu bhi marne se darta hai
Kya paap aur punya ke motiyon se
Kya tu bhi apni zindagi sanjota hai
Sochta hu poochunga khuda se
Tu aakhir hota kaisa hai
Kya tu bhi kuch kuch
Hum insaanon sa hi hota hai.
.
4 comments:
Bahut He Badhiya Hai...!!!
i think its the best ive heard in recent tymes...actually its the best of all tymes......u sound like a proffesional :P
Thats a very generous comment nirali ... thank you
As Nirali rightly said, this piece of ur writing really has a professional touch....keep moving...
Post a Comment