Tuesday, June 21, 2011

Ek choti si guzarish

Aaj fir ek ankahi si khwahish ki hai
Tujhe paane ki fir se guzaarish ki hai
Na yakeen raha hai apni kismat par
Fir aaj apni kismat ki aazmaish ki hai

Tu kar raha hai door jaane ki koshish humse
tujhe paas rakhne ki fir se chaahat ki hai
Sun sake tu aaj fir chaukhat par teri,
zara zor se apne kadmon ki aahat ki hai

Aaj fir aayi hai ek aur galti meri saamne
fir tujhse maafi ki guzarish ki hai,
padh sake tu meri aankon ko aaj fir,
fir aaj tujhse nazrein milane ki chahat ki hai

na rakh paunga tujhe paas yeh lagta hai tujhe
aaj fir mere ishq ki aazmaish hui hai
kehti hai tu door rehna mujhse,
Is paagal se aaj fir tune samajdari ki khwaish ki hai

Na raha hai yakeen tujhe mere shabdon par
fir bhi ek aur baar apne shabdon ki numayish ki hai
laut aaye tu ke fir ek baar mere paas
aaj fir kuch aisa likhne ki kooshish ki hai

Aaj fir ek ankahi si khwaish ki hai
aaj fir tujhe paane ki koshish ki hai
aapne dil ko tere kadmoon mein rakh kar
aaj fir tujhse laut aane ki guzaarish ki hai

Monday, June 20, 2011

Kab se ...


Kab se thi ek tamanna dil mein ,
Kaash tum bhi kabhi humare ishq ke mohtaaj hote,

Na rehti yeh tanhai is dil mein ,
Na kisi buri aadat ke mohtaaj hote,

Na ghoomte yuh bewajah gali gali,
Na kisi ke aane ke aksar ehsaas hote,

Na khalti kami kisi ki is dil ko,
Na hi kisi ki aahat ke aghaas hote,

Na rehti woh ranj tujhse bhi kabhi,
Aur na koi gile shikwe dil ke paas hote,

Kab se thi ek tamanna is dil mein,
Ke tum kabhi toh humare ishq ke mohtaj hote ...


LinkWithin

Related Posts with Thumbnails