Kehta hu tujhe jeene ka sahaara
ungli pakad kar teri main chalta hu
Tujhe chalna sikhate hue bhi
Sahaare se tere hi chalta hu
Thaamta hai jab haath tu mera
Un nanhi si unglion se
Karta hu mehsoos ek mazbooti ajeeb si
Tere in masoom se hathoon mein
Chalte hai tere nanahe kadam
Ek atal vishwaas ke saath
Na jaane thaam sakunga kab tak
Is tez duniya mein tera haath
Utrega jab tu duniya ki daud mein
Seekh lega jab daudna tu teez
Karna chahuna aaraam main thoda sa
La dena mujhe ek kursi aur ek meez.
Chodne padenge humein haath kuch der
Jab Na hoga mujh mein who junoon
Karne hoge saare sapne tujhe poore
Aur main chahunga thoda sa sukoon
Sahaara chahunga main tera us din
Na karega jab zamaana mujhe kabool
Kam ho jayegi samaj thodi duniya ki
Karne lagunga jab baatein main fizool
Thaamunga un hathoon ko fir se
Honge kamzoor jab mere haath
Na thama dena mujhe laathi us din
Rakhna mujhe hamesha apne hi saath
Na thukra dena mujhe bojh samaj kar
Na chood dena mujhe akela
Aashayen hai bohot mujhe tujhse
Bhool na jaana bachpan yeh tera
.
9 comments:
excellent...!! lovely..!! truly speakin, 'd tears..!!
its superb bhai.. i cud see dada, papa, u n neil in this poem.. cudn stop my tears..
sweet:-)
NIRALI:
its veryy nice...:)
bhaiya.....its very well written...
itz not easy to pen down everything one thinks,but ya've got that talent...very creative,touchy writer ya r:-)keep it up...
very expressive too:-)
thanks to all of ya ...
U have really penned down emotions so perfectly....it's truely touching
Post a Comment