Dekhte the tumhe chup chup ke pehle
Na kar paye the kabhi mulakaat
Aaj soch rahe hai fir aapke bare mein
Fir chidi hai wo purani baat
Keh na sake the us waqt bhi kisi ko
Ki hote the hum kitne bekaraar
Humesha hote the aap doston ke beech
Soch kar bhi kar na paye the kabhi izhaar
Aaj bhi yaad hai humein wo pehli mulakat
Us din bhi nai hui thi aapse koi baat
Magar yaad hai woh gehri aankhon ke samandar
Aur aapki zulfoon ki woh gehri si raat.
Phir na mile the hum ek zamaane tak
na jaane kho gaye the tum kahan
doondhti thi meri nazreen tumko
Jab bhi jaata tha main yahan wahan.
Ek ajeeb si hichkichahat thi tujhmein
Mile jab hum firse ek aarse ke baad
Na kar paya tujhse baat main tab bhi
Aa gaya who purana zamaana firse yaad
Magar aa gaye the hum aage bohot zindagi mein
Le chuke the faisle kuch ahem
Socha kar le izhaar fir bhi is baar aapse
Par himmat ho gayi thi ab kuch kam
Milte hai ab aapse ek dost bankar
Kar lete hai aapse kabhi mulakaat
Sochte hai kar lenge kabhi kabhi aapse
Dosti mein hi pyaar ki do-do baat.
8 comments:
nice work....its beautiful!!
'ts osom...!!! u'd jus started d poem day b4 ystrday n u completed 't d next day.. good jod..!!
nirali ..:)
wow.....now thts sounds like experience...any dumb,,stupid person wuld also get it yaar tht its direct 4m the heart...4 sure made u think of sum1...!! but anyways..its so goodddd...im proud of u...!! well done..gud job!!
"kaash aisa koi mazar hot...tere kaandhe pe mera sir hot"...it'z HARIHRAN'S popular gazal...ur poetry reminded me of that....:-)lucky gal i muss say!!
tumhe yaad aaye vo beete zamane
pyaar ke liye bas itna kaafi hai
kabhie kabhie khamoshi ki
apni zubaan hoti hain...
@Nidhi - A bit of motivation can make you do impossible things possible.
@Nirali - Straight from the heart for sure and If it could remind YOU of someone then I would think I've done a good job, right ;-)
@Anonymous - thanks for the kind comments.
@Neil - Good one yaar, I wish I could read more of that. well written.
You're a very good writer with some excellent ideas (where u get your ideas and inspiration from?).
Why don't you write your hindi poems in hindi font?
Luvly....
Post a Comment