Chale the hum unki Kashti ko kinare le aane,
Samandar ki gehraiyon mein khud hi kho gaye
Soch kar chale the lauta denge use zindagi
Apni hi kashti ko kinaare laana bhool gaye
Raah dikhana fitrat ho chuki thi humaari
Din ke ujaalo mein bhi diya jala ke chalte rahe
Na Mila aaj koi musafir saath chalne ke liye
Toh raat ke andhere mein hi diya jalaana bhool gaye
Fark bhi na kar paaye manzil aur raaste mein hum
Raahon ko hi apni manzil samajte rahe
Mashgool ho gaye itna ek musafir ke saath
Ki Manzil tak jaane ka raasta hi bhool gaye
Chalne lage uss musafir ke saath saath
Jaana kahan hai humein, woh bhi bhool gaye
Ummeed toh de di use jeene ki
Par khud ke vajood ki wajaah hi bhool gaye
5 comments:
koi shikwa bhi nai koi shikayat bi nai..tere khayaloon mein zamane ki riyateein bhool gaye..tu na hota to zindgi na jaan kahan le jaati tere aane se saare zakhm bhool gaye,aye kaash ki ek mulhat de de zindgi,phir ek lamha bhi poori shiddat se ji lein...god bless you
NIRALI: well firstly whoever wrote the previous comment ...its amazing....n abt "chale the" ...nice inspiring..collection of lotta thought n old memories im sure
I like your flow of thoughts and your presentation..very meaningful...
@ Anon, Nirali Rachana - Thanks, I appreciate ...
fida kar dia....m truly a fan of ur writing after reading just two of ur poems...!! mesmerising...!!
Post a Comment