Dekhte the tumhe chup chup ke pehle
Na kar paye the kabhi mulakaat
Aaj soch rahe hai fir aapke bare mein
Fir chidi hai wo purani baat
Keh na sake the us waqt bhi kisi ko
Ki hote the hum kitne bekaraar
Humesha hote the aap doston ke beech
Soch kar bhi kar na paye the kabhi izhaar
Aaj bhi yaad hai humein wo pehli mulakat
Us din bhi nai hui thi aapse koi baat
Magar yaad hai woh gehri aankhon ke samandar
Aur aapki zulfoon ki woh gehri si raat.
Phir na mile the hum ek zamaane tak
na jaane kho gaye the tum kahan
doondhti thi meri nazreen tumko
Jab bhi jaata tha main yahan wahan.
Ek ajeeb si hichkichahat thi tujhmein
Mile jab hum firse ek aarse ke baad
Na kar paya tujhse baat main tab bhi
Aa gaya who purana zamaana firse yaad
Magar aa gaye the hum aage bohot zindagi mein
Le chuke the faisle kuch ahem
Socha kar le izhaar fir bhi is baar aapse
Par himmat ho gayi thi ab kuch kam
Milte hai ab aapse ek dost bankar
Kar lete hai aapse kabhi mulakaat
Sochte hai kar lenge kabhi kabhi aapse
Dosti mein hi pyaar ki do-do baat.